Dil Mein Jinhen Utarte Dil Se Wahi Utar Gae

dil mein jinhen utarte dil se wahi utar gae

jism ko chumte rahe ruh pe war kar gae

phir sar-e-shaKH-e-arzu khil ke mahak uThi kali

dard ki fasl ho chuki dagh ke din guzar gae

sare malamaton ke tir jin ka hadaf bane the hum

apne liye wo tir bhi kaam dua ka kar gae

aaj to teri yaad bhi marham-e-dil na ho saki

zaKHm zarur dab gae dagh magar ubhar gae

dasht-e-tawahhumat mein apni sada hai aur hum

husn-e-yaqin ke qafile kis se kahen kidhar gae

waqt ke qafile mein jab koi na ham-safar mila

ban ke ghubar-e-rahguzar dasht mein hum bikhar gae

(524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Jinhen Utarte Dil Se Wahi Utar Gae In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Dil Mein Jinhen Utarte Dil Se Wahi Utar Gae is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Dil Mein Jinhen Utarte Dil Se Wahi Utar Gae for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Dil Mein Jinhen Utarte Dil Se Wahi Utar Gae in PDF.