Hasti Ke Har Ek MoD Pe Aaina Bana Hun

hasti ke har ek moD pe aaina bana hun

miT miT ke ubharta hua naqsh-e-kaf-e-pa hun

wo dast-e-talab hun jo dua ko nahin uThta

jo lab pe kisi ke nahin aai wo dua hun

is daur mein insan ka chehra nahin milta

kab se main naqabon ki tahen khol raha hun

basti mein basere ka irada to nahin tha

diwana hun sahra ka pata bhul gaya hun

jati hi nahin dil se teri yaad ki KHushbu

main daur-e-KHizan mein bhi mahakta hi raha hun

(540) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasti Ke Har Ek MoD Pe Aaina Bana Hun In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Hasti Ke Har Ek MoD Pe Aaina Bana Hun is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Hasti Ke Har Ek MoD Pe Aaina Bana Hun for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Hasti Ke Har Ek MoD Pe Aaina Bana Hun in PDF.