Hawa Se Baada NichoDen Kali Ko Jam Karen

hawa se baada nichoDen kali ko jam karen

sukut-e-rang-e-chaman se zara kalam karen

hamein to koi bhi pahchanta nahin hai yahan

nigah kis se milaen kise salam karen

zamana is pe tula hai KHirad ki baat rahe

hamein ye zid hai ki uncha junun ka nam karen

faza hai gosh-bar-awaz chup hain ahl-e-nawa

ab is adhuri kahani ko hum tamam karen

tumhaare jam ko pahle nazar se chhalka den

phir apne hosh mein aa kar tawaf-e-jam karen

kisi ghazal mein bhi ab nahin ram-e-wahshat

hum apne sehr-e-tamanna se kis ko ram karen

KHulus-e-dil ka sila soz aarzu ka guhar

isi guhar 'faridi' charagh-e-sham karen

(486) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Se Baada NichoDen Kali Ko Jam Karen In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Hawa Se Baada NichoDen Kali Ko Jam Karen is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Hawa Se Baada NichoDen Kali Ko Jam Karen for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Hawa Se Baada NichoDen Kali Ko Jam Karen in PDF.