Har KaDe Waqt Pe Aaina Dikhaya Hai Mujhe

har kaDe waqt pe aaina dikhaya hai mujhe

zindagi tu ne baDe pyar se barta hai mujhe

baDh ke chume hain gham-e-ishq ne bhi mere qadam

gham-e-dauran ne bhi aankhon pe biThaya hai mujhe

rah-e-pur-pech pe hai zulf-e-rasa ka dhoka

dasht-e-aghosh-e-tamanna nazar aaya hai mujhe

apne gham-KHwar ke ashkon ko taka karta hun

gardish-e-waqt ne palkon pe sajaya hai mujhe

ab kisi dard ka shikwa na kisi gham ka gila

meri hasti ne baDi der mein paya hai mujhe

main gham-e-dahr ki chadar mein chhupa baiTha tha

raat bhar aa ke teri yaad ne DhunDa hai mujhe

(510) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har KaDe Waqt Pe Aaina Dikhaya Hai Mujhe In English By Famous Poet Moghisuddin Fareedi. Har KaDe Waqt Pe Aaina Dikhaya Hai Mujhe is written by Moghisuddin Fareedi. Read famous Poem Har KaDe Waqt Pe Aaina Dikhaya Hai Mujhe for youth and Student by Moghisuddin Fareedi. Free Download Har KaDe Waqt Pe Aaina Dikhaya Hai Mujhe in PDF.