Mera Rafiq Pas-e-jism-o-jaan Zinda Raha

mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha

yaqin murda hua par guman zinda raha

jahan wo rahta tha ab us ki yaad rahti hai

makin baghair bhi goya makan zinda raha

bas us ke hone ka ehsas hai gharaz ki KHuda

wajud wahime ke darmiyan zinda raha

suKHan se faeda kuchh ho to koi bole bhi

main jis jagah bhi raha be-zaban zinda raha

tamam umr kaTi bebasi ke aalam mein

yun kahne ke liye buDha jawan zinda raha

wo jab talak raha mahaul KHush-gawar raha

wo bazm mein sifat-e-zafran zinda raha

(525) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Rafiq Pas-e-jism-o-jaan Zinda Raha In English By Famous Poet Mohammad Abid Ali Abid. Mera Rafiq Pas-e-jism-o-jaan Zinda Raha is written by Mohammad Abid Ali Abid. Read famous Poem Mera Rafiq Pas-e-jism-o-jaan Zinda Raha for youth and Student by Mohammad Abid Ali Abid. Free Download Mera Rafiq Pas-e-jism-o-jaan Zinda Raha in PDF.