Na Karwan Ka Hamare Koi Nishan Raha

na karwan ka hamare koi nishan raha

na ham-safar na hi kashti na baadban raha

zamin apni taraf khinchti rahi mujh ko

sawar sar pe sada mere aasman raha

mujhe KHabar thi gaya tha tu ghair se milne

main jaan-bujh ke mahfil mein be-zaban raha

tamam umr musallat raha wo dil pe mere

tamam umr main zalim ka mezban raha

hua na qaid-e-zaman-o-makan se main aazad

zamin se dur magar zer-e-asman raha

sharik wo bhi tha mere KHilaf sazish mein

ki jis ke sath sada mera khan-pan raha

na dil mein jalti hui aag bujh saki 'abid'

na sar pe mere kabhi koi saeban raha

(585) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Karwan Ka Hamare Koi Nishan Raha In English By Famous Poet Mohammad Abid Ali Abid. Na Karwan Ka Hamare Koi Nishan Raha is written by Mohammad Abid Ali Abid. Read famous Poem Na Karwan Ka Hamare Koi Nishan Raha for youth and Student by Mohammad Abid Ali Abid. Free Download Na Karwan Ka Hamare Koi Nishan Raha in PDF.