Patthar Ho Ki Faulad Ho Darne Ka Nahin Main

patthar ho ki faulad ho Darne ka nahin main

ab surat-e-aina bikharne ka nahin main

jo zat ka meri hai KHala chiz digar hai

jo bhar bhi gae zaKHm to bharne ka nahin main

dekhen na nazar bhar ke mujhe der talak aap

jo chaDh gaya nazron mein utarne ka nahin main

ki baada-kashi tark-e-maabid ke muqabil

ab is se ziyaada to sudharne ka nahin main

didar tera mere liye rahat-e-jaan hai

be-dekhe tujhe jaan se guzarne ka nahin main

ab jurm-e-mohabbat ki mile koi bhi padash

taftish ke dauran mukarne ka nahin main

(552) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Patthar Ho Ki Faulad Ho Darne Ka Nahin Main In English By Famous Poet Mohammad Abid Ali Abid. Patthar Ho Ki Faulad Ho Darne Ka Nahin Main is written by Mohammad Abid Ali Abid. Read famous Poem Patthar Ho Ki Faulad Ho Darne Ka Nahin Main for youth and Student by Mohammad Abid Ali Abid. Free Download Patthar Ho Ki Faulad Ho Darne Ka Nahin Main in PDF.