Sardi-o-garmi-o-barsat Mein Aa Jata Hai

sardi-o-garmi-o-barsat mein aa jata hai

mujh se milne wo mazafat mein aa jata hai

fasl-e-gul aane pe ho jati hai virani dur

dil KHarabe se KHarabaat mein aa jata hai

kabhi danista ada ho kabhi na-danista

nam tera meri har baat mein aa jata hai

jism ki nashw-o-numa surat-e-ashiya-e-zamin

ru-e-KHuban falakiyyat mein aa jata hai

ishq ka sabr-o-tahammul hi se qaem hai waqar

nala fariyaad KHurafat mein aa jata hai

KHidmat-e-KHalq se hoti hai KHuda ki KHidmat

ishq maKHluq-e-ibaadat mein aa jata hai

banda ho jata hai jab KHugar-e-mushkil 'abid'

zaiqa talKHi-e-haalat mein aa jata hai

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sardi-o-garmi-o-barsat Mein Aa Jata Hai In English By Famous Poet Mohammad Abid Ali Abid. Sardi-o-garmi-o-barsat Mein Aa Jata Hai is written by Mohammad Abid Ali Abid. Read famous Poem Sardi-o-garmi-o-barsat Mein Aa Jata Hai for youth and Student by Mohammad Abid Ali Abid. Free Download Sardi-o-garmi-o-barsat Mein Aa Jata Hai in PDF.