Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai

arsh tak jo be-KHata jata hai ye wo tir hai

ghair samjha hai ki meri aah be-tasir hai

KHugar-e-qaid-e-wafa par khul chuka zindan ka raaz

jurm thi wo qaid ye us jurm ki tazir hai

be-gunahi se bhi baDh kar hai agar koi gunah

to saza-e-ishq pa kar KHajlat-e-taqsir hai

chhoD meri fikr ghafil ro KHud apni qaid par

jis ko tu zewar samajhta hai wahi zanjir hai

sijn o jannat donon ai kafir hain is duniya ke nam

wo azal se baKHt-e-momin ye teri taqdir hai

dar hi banti hai ai dil zina-e-meraj-e-ishq

KHwab-e-aghaz-e-mohabbat ki yahi tabir hai

ho na uljhan jab junun-e-jama-war kaamil na ho

jab talak daman hai KHar-e-dasht daman-gir hai

hath to honge qalam par nama-bar ye bhi kaha

dil chura leti hai pahlu se ye wo tahrir hai

paedari mein hai qasron se siwa kachchi si qabr

jo qayamat tak rahe qaim ye wo tamir hai

KHun-e-nahaq ka kisi ke shubah aur tum par magar

sina-e-'jauhar' mein dekho to ye kis ka tir hai

(1161) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Arsh Tak Jo Be-KHata Jata Hai Ye Wo Tir Hai in PDF.