Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho

be-KHauf-e-ghair dil ki agar tarjuman na ho

behtar hai is se ye ki sire se zaban na ho

hon be-hiras ye mujhe rakkhen kisi jagah

Dar ho wahan ki teri hukumat jahan na ho

ek tu jo mehrban ho to har ek ho mehrban

aur yun na ho bala se koi mehrban na ho

hum ko to ek tujh se do aalam mein hai gharaz

sab bad-guman hua karen tu bad-guman na ho

dair o haram mein DhunD ke sab thak gae use

ab kaun kah sake ki kahan ho kahan na ho

karna hi tha haram to phir wada kis liye

ye kya ki mai halal wahan ho yahan na ho

himmat na haar de koi manzil ke samne

parwardigar yun bhi koi na-tawan na ho

milne to phir chale ho mashiKHat panah se

qashqa ka dekho aaj jabin par nishan na ho

'jauhar' is ek dil ke liye itne mashghale

ki hai KHuda ki chah to ishq-e-butan na ho

(1060) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho In English By Famous Poet Mohammad Ali Jauhar. Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho is written by Mohammad Ali Jauhar. Read famous Poem Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho for youth and Student by Mohammad Ali Jauhar. Free Download Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho in PDF.