Jate Jate Dekhna Patthar Mein Jaan Rakh Jaunga

jate jate dekhna patthar mein jaan rakh jaunga

kuchh nahin to ek do chingariyan rakh jaunga

nind mein bhi KHwab rakhne ki jagah baqi nahin

sochta hun ye KHazana ab kahan rakh jaunga

sab namazen bandh kar le jaunga main apne sath

aur masjid ke liye gungi azan rakh jaunga

jaanta hun ye tamasha KHatm hone ka nahin

hall mein ek roz KHali kursiyan rakh jaunga

chand suraj aur tare phunk Dalunga sabhi

is zamin par ek nanga aasman rakh jaunga

chhoD dunga ab main 'alwi' aaKHiri din ki talash

aur adab ke shahr mein KHali makan rakh jaunga

(561) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jate Jate Dekhna Patthar Mein Jaan Rakh Jaunga In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Jate Jate Dekhna Patthar Mein Jaan Rakh Jaunga is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Jate Jate Dekhna Patthar Mein Jaan Rakh Jaunga for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Jate Jate Dekhna Patthar Mein Jaan Rakh Jaunga in PDF.