KhiDkiyon Se Jhank Kar Galiyon Mein Dar Dekha Kiye

khiDkiyon se jhank kar galiyon mein Dar dekha kiye

ghar mein baiThe raat din diwar-o-dar dekha kiye

aisa manzar tha ki aankhen dekh kar pathra gain

phir na dekha kuchh magar nezon pe sar dekha kiye

raat-bhar socha kiye aur subh-dam aKHbar mein

apne hathon apne marne ki KHabar dekha kiye

ek tara na-gahan chamka gira aur bujh gaya

phir na aai nind tare raat-bhar dekha kiye

wo to KHwabon mein bhi KHushbu ki tarah aata raha

phul ki manind us ko hum magar dekha kiye

kaun tha wo kab mila tha kya pata 'alwi' magar

der tak hum us ko aankhen mund kar dekha kiye

(474) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhiDkiyon Se Jhank Kar Galiyon Mein Dar Dekha Kiye In English By Famous Poet Mohammad Alvi. KhiDkiyon Se Jhank Kar Galiyon Mein Dar Dekha Kiye is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem KhiDkiyon Se Jhank Kar Galiyon Mein Dar Dekha Kiye for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download KhiDkiyon Se Jhank Kar Galiyon Mein Dar Dekha Kiye in PDF.