KHwab Mein Ek Makan Dekha Tha

KHwab mein ek makan dekha tha

phir na khiDki thi na darwaza tha

sune raste pe sar-e-sham koi

ghar ki yaadon mein ghira baiTha tha

log kahte hain ki mujh sa tha koi

wo jo bachchon ki tarah roya tha

raat thi aur koi sath na tha

chand bhi dur khaDa hansta tha

ek mela sa laga tha dil mein

main akela hi phira karta tha

aisa hangama na tha jangal mein

shahr mein aae to Dar lagta tha

gham ke dariya mein teri yaadon ka

ek jazira sa ubhar aaya tha

kaun aaya tha makan mein 'alwi'

kis ne darwaza abhi khola tha

(502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Mein Ek Makan Dekha Tha In English By Famous Poet Mohammad Alvi. KHwab Mein Ek Makan Dekha Tha is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem KHwab Mein Ek Makan Dekha Tha for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download KHwab Mein Ek Makan Dekha Tha in PDF.