Hai Jo Sina Mein Jagah Lahke Hai Angara Sa

hai jo sina mein jagah lahke hai angara sa

dil jo pahlu mein hai betab hai wo para sa

aankh lagti hai koi pal to hamein han us ka

aalam-e-KHwab mein ho jae hai nazzara sa

dil hai us sozan-e-mizhgan se mushabbak mera

chhuTne kyun lage KHun ka fawwara sa

dil kahin dida kahin ji hai kahin jaan kahin

gardish-e-charKH mein har ek hai aawara sa

sina-kuban tere kucha se rah jata hai 'nisar'

subh se sunte hain hum coach ka naqqara sa

(542) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Jo Sina Mein Jagah Lahke Hai Angara Sa In English By Famous Poet Mohammad Amaan Nisar. Hai Jo Sina Mein Jagah Lahke Hai Angara Sa is written by Mohammad Amaan Nisar. Read famous Poem Hai Jo Sina Mein Jagah Lahke Hai Angara Sa for youth and Student by Mohammad Amaan Nisar. Free Download Hai Jo Sina Mein Jagah Lahke Hai Angara Sa in PDF.