Ahd Jaise Bhi Bandhe The Tere Mere Darmiyan

ahd jaise bhi bandhe the tere mere darmiyan

dard ke rishte juDe the tere mere darmiyan

ghair-mumkin tha fasilen faslon ki phandna

qismaton ke faisle the tere mere darmiyan

ek takallum ka talluq toDne se kya hua

aur bhi kuchh rabte the tere mere darmiyan

kya kahun manzil ki us ki samt bhi koi na thi

raste hi raste the tere mere darmiyan

tere dil ka man TuTe main ne kab chaha magar

aur bhi kuchh dil paDe the tere mere darmiyan

wasl ki sarshaariyon se jo na ho sakte the hal

aise bhi kuchh masale the tere mere darmiyan

samna tha ek to dariya-e-talatum-KHez ka

aur kuchh kachche ghaDe the tere mere darmiyan

tha safar darpesh jaane kitne 'nuri' sal ka

kaise kaise fasle the tere mere darmiyan

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahd Jaise Bhi Bandhe The Tere Mere Darmiyan In English By Famous Poet Mohammad Fakhrul Haq Noori. Ahd Jaise Bhi Bandhe The Tere Mere Darmiyan is written by Mohammad Fakhrul Haq Noori. Read famous Poem Ahd Jaise Bhi Bandhe The Tere Mere Darmiyan for youth and Student by Mohammad Fakhrul Haq Noori. Free Download Ahd Jaise Bhi Bandhe The Tere Mere Darmiyan in PDF.