Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai

dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai

jaan hazir hai meri aap se achchha kya hai

ahmad aur ahmad-e-be-mim ka parda kya hai

aql-e-awwal ko bhi hairat hai muamma kya hai

aap ke gham ne tan-e-zar mein chhoDa kya hai

malak-ul-maut ka ye mujh se taqaza kya hai

aish-e-imroz pe KHush hain gham-e-farda kya hai

maut aa jae to mar jaenge jhagDa kya hai

hum to madhosh paDe rahte the mai-KHane mein

kya KHabar katib-e-amal ne likkha kya hai

aaj tak shahr-e-KHamoshan ka na kuchh haal khula

log kya dekhne jate hain tamasha kya hai

arsa-e-hashr mein hai aaj qayamat ki giraft

ab batae to koi nazish-e-taqwa kya hai

sar to hum bhi na jhukaenge subuk-sar ho kar

charKH dushman hai to dushman sahi hota kya hai

tum se haT kar kahin paDti hi nahin meri nazar

tum tamanna ho meri aur tamanna kya hai

du-badu kyun na kahun tum se jo kahna hai mujhe

dil mein ghuT ghuT ke jo rah jae wo shikwa kya hai

gul ke daman pe kahin KHun ka dhabba na lage

tarz-e-fariyaad ye ai bulbul-e-shaida kya hai

mushkilen sainkaDon har gam pe pesh aati hain

DhunDne walon ne tujh ko abhi paya kya hai

kya bataun dil-e-ranjur ki haalat tum ko

wo to har rose ka bimar hai achchha kya hai

kalima paDhta hua qabr mein utra hun main

mere mazhab ko nakirain ne samjha kya hai

ek na ek fikr lagi rahti hai har dam mujh ko

fikr-e-duniya mein paDa hun gham-e-uqba kya hai

baada-noshon ke dua karte hi baadal umDe

aql hairan hai zahid ki ye hota kya hai

shab-e-mearaj ki kya shan hai allah allah

aaj dekhe to koi arsh-e-mualla kya hai

ab ke bhi rauza-e-aqdas pe rasai na hui

aur phir shumi-e-taqdir ka rona kya hai

ai falak hum tujhe zalim nahin kahte lekin

ghaur se sun ki sada-e-lab-e-duniya kya hai

gham-e-ulfat ki tawazoa ki jigar hai maujud

aur maqdur mera is se ziyaada kya hai

murde ji uThte hain jab nam tera sunte hain

hum se puchhe koi ejaz-e-masiha kya hai

maslahat ye hai ki izhaar-e-mohabbat na karun

maut hai mere liye arz-e-tamanna kya hai

dil-e-raushan ko samajh kaba-nashin ki manzil

dair kahte hain kise aur kalisa kya hai

kabhi botal ko uThata hai kabhi saghar ko

nahin malum ki 'rasiKH' ka irada kya hai

(543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Rasikh. Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai is written by Mohammad Yusuf Rasikh. Read famous Poem Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai for youth and Student by Mohammad Yusuf Rasikh. Free Download Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai in PDF.