Duniya Mein Koi Ranj Se BaDh Kar KHushi Nahin

duniya mein koi ranj se baDh kar KHushi nahin

wo bhi hamein nasib kabhi hai kabhi nahin

dard-e-jigar ki tum pe musibat paDi nahin

tum to kahoge ishq ki manzil kaDi nahin

dushman ki rah rok ke baiTha hun aaj main

duniya ka rasta hai tumhaari gali nahin

dushman ki maut ka tumhein kyunkar na ho malal

ek ba-wafa jahan mein wahi tha wahi nahin

shoKHi kisi ki khul gai aaKHir kalim par

karne ki thi jo baat wahi un se ki nahin

qatron ke lab pe shor-e-anal-bahr hai rawan

taqlid kya ye hazrat-e-mansur ki nahin

ifa-e-ahd hai ki qayamat ka shor hai

tum khul ke kah na do ki zaban hum ne di nahin

laila ne KHud qarar diya hai wafa ko jurm

majnun ne wo kitab-e-mohabbat paDhi nahin

kaTne ko kaT rahi hai barabar shab-e-firaq

jine ko ji raha hun magar zindagi nahin

tum ko fareb-e-ghair se aagah kar diya

warna mujhe kisi se koi dushmani nahin

rota hai be-sabaati-e-gulzar-e-dahr par

ghunche ke lab pe ghaur se dekho hansi nahin

aankhon ne phuT phuT ke sab haal kah diya

ain-e-visal mein bhi yahan KHamushi nahin

pir-e-mughan ke faiz se raushan hai mai-kada

saghar ka jo murid nahin muttaqi nahin

aaram se qafas mein guzarunga zindagi

achchha hua ki taqat-e-parwaz hi nahin

aati hai KHak-e-tur se ab tak yahi KHuda

dil ki lagi ka zikr koi dil-lagi nahin

aashiq ke dam se husn ki duniya ko hai farogh

bulbul nahin to raunaq-e-gulzar hi nahin

dilbar ke intiKHab mein mujh se KHata hui

mera qusur hai ye KHata aap ki nahin

wahdat ka wo surur tha saqi ke jam mein

pine ko hum ne pi hai magar be-KHudi nahin

puchha tha bewafa to na paya raqib ko

main ne bhi kis maze se kaha hai ki ji nahin

khane ko zaKHm milte hain pine ko ashk hain

rozi jahan hain kya meri taqdir ki nahin

aashiq ke zaKHm dekh ke isa ne kah diya

ye to nazar ki choT hai talwar ki nahin

tishna-labon ki jaan hai shamshir-e-ab-dar

KHwahish unhen to kausar-o-tasnim ki nahin

jumbish hui hai dashna-e-ghamza ko be-sabab

allah KHair aalam-e-asbab ki nahin

jis samt aankh uThti hai kushton ka Dher hai

maqtal hai aashiqon ka tumhaari gali nahin

jannat se kuchh gharaz hai na duniya se wasta

mashuq apna hur nahin hai pari nahin

KHana-KHarab-e-ishq ki haalat na puchhiye

koi bhi gham-gusar ba-juz bekasi nahin

inkar ab to is lab-e-nazuk se ho chuka

pahli si shakl ghuncha-e-ummid ki nahin

tu KHana-zad-e-zulf ko aazad kyun kare

main to tera ghulam hun main aadmi nahin

huron ko bhej kar meri haalat to puchhiye

kunj-e-mazar bais-e-dil-bastagi nahin

ek mah-ru ki yaad ne chamka diya hai dil

sina hai dagh dagh magar tirgi nahin

tasir aah ki kabhi tum ko dikhaenge

hum hain to gumbad-e-falak-e-chambari nahin

barish hi ko ulaT ke bana do na tum sharab

tum ko zara mazaq-e-adab-parwari nahin

rota hai koi dil ko koi apna jaan kar

Daka hai luT-mar hai ye dilbari nahin

aankhon se qatl karte ho lab se jalate ho

phir ye kamal kya hai jo afsun-gari nahin

talib ki aankh karti hai KHira shua-e-husn

parda hai us ka nam ye be-pardagi nahin

zamzam haram se aata hai 'rasiKH' ke waste

wo KHana-e-KHuda hai wahan kuchh kami nahin

'rasiKH' kise sunaen hum apna bayan-e-gham

'ghaalib' nahin 'anis' nahin 'anwari' nahin

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Koi Ranj Se BaDh Kar KHushi Nahin In English By Famous Poet Mohammad Yusuf Rasikh. Duniya Mein Koi Ranj Se BaDh Kar KHushi Nahin is written by Mohammad Yusuf Rasikh. Read famous Poem Duniya Mein Koi Ranj Se BaDh Kar KHushi Nahin for youth and Student by Mohammad Yusuf Rasikh. Free Download Duniya Mein Koi Ranj Se BaDh Kar KHushi Nahin in PDF.