Hamare Dil Mein Yaadon Ko Saliqe Se Rakha Jae

hamare dil mein yaadon ko saliqe se rakha jae

ki is kamre mein phulon ko saliqe se rakha jae

masihai ki phir koi zarurat hi nahin paDti

agar zaKHmon pe ashkon ko saliqe se rakha jae

dilon ki hukmarani ka ye ek achchha tariqa hai

har ek jumle mein lafzon ko saliqe se rakha jae

adab hai din-o-duniya hai chhupa hai ilm bhi is mein

mere bachcho kitabon ko saliqe se rakha jae

tera ye ghar lagega KHubsurat ai mere bhai

agar in sare rishton ko saliqe se rakha jae

wo jaane wala jaane kaun se pal lauT kar aae

abhi raste pe aankhon ko saliqe se rakha jae

barasti hai KHuda ki rahmaten un ki duaon se

gharon mein sab buzurgon ko saliqe se rakha jae

gharibi dekhti rahti hai hasrat se khaDi ho kar

dukanon mein khilaunon ko saliqe se rakha jae

paDosi ka bhi haq hai tujh pe itna yaad rakh 'mohsin'

munDeron par charaghon ko saliqe se rakha jae

(512) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Dil Mein Yaadon Ko Saliqe Se Rakha Jae In English By Famous Poet Mohsin Aftab Kelapuri. Hamare Dil Mein Yaadon Ko Saliqe Se Rakha Jae is written by Mohsin Aftab Kelapuri. Read famous Poem Hamare Dil Mein Yaadon Ko Saliqe Se Rakha Jae for youth and Student by Mohsin Aftab Kelapuri. Free Download Hamare Dil Mein Yaadon Ko Saliqe Se Rakha Jae in PDF.