Jis Tarah Dhup Ka Rangat Pe Asar PaDta Hai

jis tarah dhup ka rangat pe asar paDta hai

nafs ka waise ibaadat pe asar paDta hai

aise mujh par bhi tere gham ke nishan dikhte hain

jaise mausam ka imarat pe asar paDta hai

sirf mahaul se fikren nahin badla kartin

doston ka bhi tabiat pe asar paDta hai

dushmanon se hi nahin hota hai KHatra lahiq

baghiyon se bhi hukumat pe asar paDta hai

ab samajh aaya sabab mujh ko meri pasti ka

mang ghaTti hai to qimat pe asar paDta hai

bhuk neki ki lage ya ki lage duniya ki

bhuk lagti hai to surat pe asar paDta hai

rizq rukta hai namazon ke qaza karne se

niyyaten bad hon to barakat pe asar paDta hai

saf dikhti hai buDhape mein qaza sach to hai

umr ke sath basirat pe asar paDta hai

pas rahne se hi baDhti nahin chahat 'mohsin'

faslon se bhi mohabbat pe asar paDta hai

(577) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Tarah Dhup Ka Rangat Pe Asar PaDta Hai In English By Famous Poet Mohsin Aftab Kelapuri. Jis Tarah Dhup Ka Rangat Pe Asar PaDta Hai is written by Mohsin Aftab Kelapuri. Read famous Poem Jis Tarah Dhup Ka Rangat Pe Asar PaDta Hai for youth and Student by Mohsin Aftab Kelapuri. Free Download Jis Tarah Dhup Ka Rangat Pe Asar PaDta Hai in PDF.