Jism Mein KHun Ki Rawani Ka Maza Aaega

jism mein KHun ki rawani ka maza aaega

ishq hote hi jawani ka maza aaega

josh guftar mein kuchh aur baDha lo apne

tab hi kuchh shoala-bayani ka maza aaega

aaj hum donon nahaenge baDi shiddat se

aaj barsat ke pani ka maza aaega

barishen waqt pe kheton ko hara kar den to

sab kisanon ko kisani ka maza aaega

aaj to muD hai mahfil bhi hai 'mohsin'-sahab

aaj angur ke pani ka maza aaega

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Mein KHun Ki Rawani Ka Maza Aaega In English By Famous Poet Mohsin Aftab Kelapuri. Jism Mein KHun Ki Rawani Ka Maza Aaega is written by Mohsin Aftab Kelapuri. Read famous Poem Jism Mein KHun Ki Rawani Ka Maza Aaega for youth and Student by Mohsin Aftab Kelapuri. Free Download Jism Mein KHun Ki Rawani Ka Maza Aaega in PDF.