Kuchh Naya Kaam Nae Taur Se Karne Ke Liye

kuchh naya kaam nae taur se karne ke liye

log mauqa hi nahin dete sudharne ke liye

jao ja kar ke gharibon ke dilon mein jhanko

kitni bechain tamannaen hain marne ke liye

us pe marte ho to phir duniya ki parwa kaisi

ishq hota hai miyan had se guzarne ke liye

koi aasani se fankar nahin banta hai

muddaten chahiye ek fan ko nikharne ke liye

munh uTha kar ke phir aai hai ye tauba tauba

shab judai ki mere ghar mein Thaharne ke liye

kisi doshiza ki zulfen ye nahin qismat hai

waqt lagta hai bahut us ko sanwarne ke liye

aaj is baat ka ehsas hua hai mujh ko

KHwab 'mohsin' the mere sirf bikharne ke liye

(567) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Naya Kaam Nae Taur Se Karne Ke Liye In English By Famous Poet Mohsin Aftab Kelapuri. Kuchh Naya Kaam Nae Taur Se Karne Ke Liye is written by Mohsin Aftab Kelapuri. Read famous Poem Kuchh Naya Kaam Nae Taur Se Karne Ke Liye for youth and Student by Mohsin Aftab Kelapuri. Free Download Kuchh Naya Kaam Nae Taur Se Karne Ke Liye in PDF.