Be-sabab Log Badalte Nahin Maskan Apna

be-sabab log badalte nahin maskan apna

tum ne jalte hue dekha hai nasheman apna

kis kaDe waqt mein mausam ne gawahi mangi

jab gareban hi apna hai na daman apna

apne luT jaane ka ilzam kisi ko kya dun

main hi tha rah-numa main hi tha rahzan apna

koi milta hai jo is daur-e-pur-ashob mein dost

mashware de ke bana lete hain dushman apna

jab bhi sach bolte bachchon pe nazar paDti hai

yaad aa jata hai be-saKHta bachpan apna

yun kiya karte hain laDkon ko nasihat aksar

jaise hum ne na guzara ho laDakpan apna

rang-e-mahfil ke liye hum nahin badle 'mohsin'

wahi andaz-e-taKHayyul hai wahi fan apna

(1755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-sabab Log Badalte Nahin Maskan Apna In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Be-sabab Log Badalte Nahin Maskan Apna is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Be-sabab Log Badalte Nahin Maskan Apna for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Be-sabab Log Badalte Nahin Maskan Apna in PDF.