Ye Tai Hua Hai Ki Qatil Ko Bhi Dua Dije

ye tai hua hai ki qatil ko bhi dua dije

KHud apna KHun baha phir bhi KHun-baha dije

niyaz-o-naz baja hain magar ye shart-e-visal

hai sang-e-rah-e-talluq ise haTa dije

suna tha hum ne ki manzil qarib aa pahunchi

kahan hain aap agar ho sake sada dije

sahar qarib sahi phir bhi kuchh baid nahin

charagh bujhne lage hain to lau baDha dije

mahakte zaKHmon ko inam-e-fasl-e-gul kahiye

sulag uThe jo chaman barq ko dua dije

kuchh is tarah hai ki guzre hain jis qayamat se

samjhiye KHwab use KHwab ko bhula dije

badal gae hain taqaze suKHan-shanasi ke

udhar ata ho idhar dad barmala dije

ye kya zarur ki ehsas ko zaban mil jae

hai hukm-e-naghma-sarai to gunguna dije

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Tai Hua Hai Ki Qatil Ko Bhi Dua Dije In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Ye Tai Hua Hai Ki Qatil Ko Bhi Dua Dije is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Ye Tai Hua Hai Ki Qatil Ko Bhi Dua Dije for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Ye Tai Hua Hai Ki Qatil Ko Bhi Dua Dije in PDF.