Yunhi To ShaKH Se Patte Gira Nahin Karte

yunhi to shaKH se patte gira nahin karte

bichhaD ke log ziyaada jiya nahin karte

jo aane wale hain mausam unhen shumar mein rakh

jo din guzar gae un ko gina nahin karte

na dekha jaan ke us ne koi sabab hoga

isi KHayal se hum dil bura nahin karte

wo mil gaya hai to kya qissa-e-firaq kahen

KHushi ke lamhon ko yun be-maza nahin karte

nashat-e-qurb gham-e-hijr ke ewaz mat mang

dua ke nam pe yun bad-dua nahin karte

munafiqat pe jinhen iKHtiyar hasil hai

wo arz karte hain tujh se gila nahin karte

hamare qatl pe 'mohsin' ye pesh-o-pas kaisi

hum aise log talab KHun-baha nahin karte

(2140) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi To ShaKH Se Patte Gira Nahin Karte In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Yunhi To ShaKH Se Patte Gira Nahin Karte is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Yunhi To ShaKH Se Patte Gira Nahin Karte for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Yunhi To ShaKH Se Patte Gira Nahin Karte in PDF.