December Mujhe Ras Aata Nahin

kai sal guzre

kai sal bite

shab-o-roz ki gardishon ka tasalsul

dil-o-jaan mein sanson ki parten ulTe hue

zalzalon ki tarah hanpta hai

chaTaKHte hue KHwab

aankhon ki nazuk ragen chhilte hain

magar main ek sal ki god mein jagti subh ko

be-karan chahaton se aTi zindagi ki dua de kar

ab tak wahi justuju ka safar kar raha hun

guzarta hua sal jaisa bhi guzra

magar sal ke aaKHiri din

nihayat kaThin hain

mere milne walo

nae sal ki muskuraati hui subh gar hath aae

to milna

ki jate hue sal ki saaton mein

ye bujhta hua dil

dhaDakta to hai muskuraata nahin

december mujhe ras aata nahin

(2404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

December Mujhe Ras Aata Nahin In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. December Mujhe Ras Aata Nahin is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem December Mujhe Ras Aata Nahin for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download December Mujhe Ras Aata Nahin in PDF.