Ek Nae Lafz Ki TaKHliq

zindagi lafz hai

maut bhi lafz hai

zindagi ki tarashi hui awwalin saut se sarhad-e-maut tak lafz hi lafz hain

sans bhi lafz hai

sans lene ki har ek zarurat bhi lafzon ki muhtaj hai

aag pani hawa KHak sab lafz hain

aankh chehra jabin hath lab lafz hain

subh-o-sham-o-shafaq roz-o-shab lafz hain

waqt bhi lafz hai

waqt ka saz-o-ahang bhi

rang bhi sang bhi

amn bhi jang bhi

lafz hi lafz hain

phul bhi lafz hai

dhul bhi lafz hai

lafz qatil bhi hai

lafz maqtul bhi

lafz hi KHun-baha

lafz dast-e-dua

lafz arz-o-sama

subh-e-fasl-e-bahaaran bhi ek lafz hai

sham-e-hijr-e-nigaran bhi ek lafz hai

raunaq-e-bazm-e-yaran bhi ek lafz hai

mahfil-e-dil-figaran bhi ek lafz hai

main bhi ek lafz hun

tu bhi ek lafz hai

aa ki lafzon ki surat fazaon mein mil kar bikhar jaen hum

ek naya lafz taKHliq kar jaen hum

aa ki mar jaen hum

(2324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nae Lafz Ki TaKHliq In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Ek Nae Lafz Ki TaKHliq is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Ek Nae Lafz Ki TaKHliq for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Ek Nae Lafz Ki TaKHliq in PDF.