Koi Diwar Na Dar Jaante Hain

koi diwar na dar jaante hain

hum isi dasht ko ghar jaante hain

jaan kar chup hain wagarna hum bhi

baat karne ka hunar jaante hain

ye muhim hadiya-e-sar mangti hai

is mein hai jaan ka KHatar jaante hain

lad gai shaKH-e-lahu phulon se

aaenge ab ke samar jaante hain

jaan jaani hai to jaegi zarur

hum duaon ka asar jaante hain

kaun hai taba-e-mohmal kis ka

kis ka hai kis pe asar jaante hain

log use maslahatan kuchh na kahen

us ki auqat magar jaante hain

raat kis kis ke uDe hain purze

shahr mein kya hai KHabar jaante hain

raat kaTe nahin kaTti hai magar

raat hai ta-ba-sahar jaante hain

hum ne bhi dekhi hai duniya 'mohsin'

hai kidhar kis ki nazar jaante hain

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Diwar Na Dar Jaante Hain In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Koi Diwar Na Dar Jaante Hain is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Koi Diwar Na Dar Jaante Hain for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Koi Diwar Na Dar Jaante Hain in PDF.