Parde Parde Mein Bahut Mujh Pe Tere War Chale

parde parde mein bahut mujh pe tere war chale

saf ab halq pe KHanjar chale talwar chale

duri-e-manzil-e-maqsad koi hum se puchhe

baiThe sau bar hum us rah mein sau bar chale

kaun pamal hua us ki bala dekhti hai

dekhta apni hi jo shoKHi-e-raftar chale

be-piye chalta hai yun jhum ke wo mast-e-shabab

jis tarah pi ke koi rind-e-qadah-KHwar chale

chashm o abru ki ye sazish jigar o dil ko nawed

ek ka tir chale ek ki talwar chale

kuchh is andaz se sayyaad ne aazad kiya

jo chale chhuT ke qafas se wo giraftar chale

jis ko rahna ho rahe qaidi-e-zindan ho kar

hum to ai ham-nafaso phand ke diwar chale

phir 'mubarak' wahi ghanghor ghaTaen aain

jaanib-e-mai-kada phir rind-e-qadah-KHwar chale

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parde Parde Mein Bahut Mujh Pe Tere War Chale In English By Famous Poet Mubarak Azimabadi. Parde Parde Mein Bahut Mujh Pe Tere War Chale is written by Mubarak Azimabadi. Read famous Poem Parde Parde Mein Bahut Mujh Pe Tere War Chale for youth and Student by Mubarak Azimabadi. Free Download Parde Parde Mein Bahut Mujh Pe Tere War Chale in PDF.