In Jhilmilate Chand Sitaron Ki Chhanw Mein

in jhilmilate chand sitaron ki chhanw mein

dhime suron mein gae jo babul to hum sunen

aangan mein tere phul rahi hogi kaamani!

ji chahta hai aaj basera wahin karen

ye chand aaj uga hai baDi aarzu ke baad

aao mai-e-nashat piyen gham ghalat karen

apni suhag-raat kabhi bhultin nahin

mere hasin dayar ki sharmili aurten

rang-e-hina se surKH rahin un ki ungliyan

ai kash sari umr wo dulhan bani rahen

pyare hain aaj hum bhi bahut der se niDhaal

tum bhi thake hue ho chalo aao so rahen

jaane hai kaun mahw-e-safar aadhi raat ko

jaane ye kis ki dur se aati hain aahaTen

hum ko bula liya karo baaten kiya karo

dil mein tumhaare dard ke tufan jab uThen

uftadgan-e-rah ke dil par lagegi choT

manzil pe ja ke qafile aawaz yun na den

tum ne tamam bagh ko viran kar diya

indhan ke tajiro ye papihe kahan rahen

har marhala pe 'dauran' hamein un ki ho talash

har manzil-e-hayat pe un ka hi nam len

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Jhilmilate Chand Sitaron Ki Chhanw Mein In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. In Jhilmilate Chand Sitaron Ki Chhanw Mein is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem In Jhilmilate Chand Sitaron Ki Chhanw Mein for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download In Jhilmilate Chand Sitaron Ki Chhanw Mein in PDF.