Is Daur Ne BaKHshe Hain Duniya Ko Ajab Tohfe

is daur ne baKHshe hain duniya ko ajab tohfe

ghabrae hue paikar uktae hue chehre

kuchh dard ke mare hain kuchh naz ke hain pale

kuchh log hain hum jaise kuchh log hain tum jaise

har ganw suhana ho har shahr chamak uTThe

dil ki ye tamanna hai puri ho magar kaise

biphri hui duniya ne patthar to bahut phenke

ye shish-mahal lekin ai dost kahan TuTe

yunhi to nahin bahti ye dhaar lahu jaisi

is bar fazaon se KHanjar hi bahut barse

kyun aag bhaDak uTThi shaer ke KHayalon ki

ye raaz ki baaten hain nadan tu kya jaane

sau bar suna hum ne sau bar hansi aai

wo kahte hain patthar ko hum mom bana denge

phir gosh-e-tasawwur mein abba ki sada aai

phir us ne dar-e-dil pe aawaz di chupke se

is KHak pe bikhra hai ek phul hamara bhi

jab baad-e-saba aae kuchh der yahan Thahre

afsana-numa koi rudad nahin meri

jhanka na kabhi main ne KHwabon ke dariche se

mushkil hai ye 'dauran' is bhiD ko samjhana

muD muD ke jo rahzan se manzil ka pata puchhe

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Daur Ne BaKHshe Hain Duniya Ko Ajab Tohfe In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. Is Daur Ne BaKHshe Hain Duniya Ko Ajab Tohfe is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem Is Daur Ne BaKHshe Hain Duniya Ko Ajab Tohfe for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download Is Daur Ne BaKHshe Hain Duniya Ko Ajab Tohfe in PDF.