KHazane Bhi Milen Is Ke Ewaz To Hum Na Bechenge

KHazane bhi milen is ke ewaz to hum na bechenge

hamara gham hai mazlumon ka gham ye gham na bechenge

kuhistanon se patthar kaT kar laenge hum lekin

kisi zalim ke hathon zaKHm ka marham na bechenge

bala se dhul phanken ya purane chithDe pahnen

magar yaro mata-e-ilm-o-danish hum na bechenge

kisi darbar mein ja kar adab aur fan ki surat mein

tumhaari ambarin zulfon ke pech-o-KHam na bechenge

hamara inqalab aaega jab to kaam aaega

abhi apni tamanna ka ujala hum na bechenge

gulistan bech kar khana hawas-karon ka shewa hai

chaman walo papihon ka tarannum hum na bechenge

bhari mahfil mein 'dauran' aaj hum phir ahd karte hain

jo hai insaniyat ki aas wo parcham na bechenge

(651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHazane Bhi Milen Is Ke Ewaz To Hum Na Bechenge In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. KHazane Bhi Milen Is Ke Ewaz To Hum Na Bechenge is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem KHazane Bhi Milen Is Ke Ewaz To Hum Na Bechenge for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download KHazane Bhi Milen Is Ke Ewaz To Hum Na Bechenge in PDF.