Mere Na-rasa Tasawwur Ne Suragh Pa Liya Hai

mere na-rasa tasawwur ne suragh pa liya hai

main pata laga chuka hun tu kahan kahan chhupa hai

mujhe kaun sar-bulandi ki taraf bula raha hai

mera nargisi taKHayyul to shikast kha chuka hai

tujhe qatilon ke narghe se chhuDaega na koi

ye hai maqtal ai musafir tu kise pukarta hai

sar-e-sham jo gharibon ke diye bujha rahi hain

unhin sazishon ka markaz ye teri mahal-sara hai

koi mausami parindon se kahe idhar na aaen

abhi mere gulistan ki baDi muzmahil faza hai

sun ai meri pyari duniya meri be-qarar duniya

tera dard-mand shair tere git ga raha hai

wo ba-zoam-e-KHud gulistan ka hai sarbarah 'dauran'

jo wo chahe so karega use kaun rokta hai

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Na-rasa Tasawwur Ne Suragh Pa Liya Hai In English By Famous Poet Owais Ahmad Dauran. Mere Na-rasa Tasawwur Ne Suragh Pa Liya Hai is written by Owais Ahmad Dauran. Read famous Poem Mere Na-rasa Tasawwur Ne Suragh Pa Liya Hai for youth and Student by Owais Ahmad Dauran. Free Download Mere Na-rasa Tasawwur Ne Suragh Pa Liya Hai in PDF.