Maujon Ki Sazishon Ne Kinara Nahin Diya

maujon ki sazishon ne kinara nahin diya

tinke ne Dubte ko sahaara nahin diya

us ne bhi mera haal na puchha kisi bhi waqt

main ne bhi us ko koi ishaara nahin diya

us raat ko siyah batane mein kya gurez

palkon pe jis ne koi sitara nahin diya

tariKH likh rahi thi nae sar ki dastan

lekin sinan ne nam hamara nahin diya

muddat se aise KHwab mein uljhe hue hain log

jis ne haqiqaton mein nazara nahin diya

(1681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maujon Ki Sazishon Ne Kinara Nahin Diya In English By Famous Poet Wafa Naqvi. Maujon Ki Sazishon Ne Kinara Nahin Diya is written by Wafa Naqvi. Read famous Poem Maujon Ki Sazishon Ne Kinara Nahin Diya for youth and Student by Wafa Naqvi. Free Download Maujon Ki Sazishon Ne Kinara Nahin Diya in PDF.