Mausam Ho Koi Yaad Ke KHeme Nahin UThte
mausam ho koi yaad ke KHeme nahin uThte
sahra se tere chahne wale nahin uThte
hain raqs ke aalam mein sulagte hue chehre
aise to kisi ghar se janaze nahin uThte
ek pyas ne kaisa ye mujhe toD diya hai
hathon se mere aaj bhi kuze nahin uThte
suraj ke tamanche se falak jag gaya hai
bistar se magar phir bhi sitare nahin uThte
ghar apne namazi to sabhi lauT gae hain
masjid se magar aaj musalle nahin uThte
muddat se shab-o-roz ke mathe pe likha hai
aa jaen jo ek bar zamane nahin uThte
hai us ke azabon pe karam us ka musallat
rahmat ke kabhi ghar se farishte nahin uThte
(1825) Peoples Rate This