Kar-e-din Us But Ke Hathon Hae Abtar Ho Gaya

kar-e-din us but ke hathon hae abtar ho gaya

jis musalman ne use dekha wo kafar ho gaya

dilbaron ke naqsh-e-pa mein hai sadaf ka sa asar

jo mera aansu gira us mein so gauhar ho gaya

kya badan hoga ki jis ke kholte jame ka band

barg-e-gul ki tarah har naKHun moattar ho gaya

aankh se nikle pa aansu ka KHuda hafiz 'yaqin'

ghar se jo bahar gaya laDka so abtar ho gaya

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kar-e-din Us But Ke Hathon Hae Abtar Ho Gaya In English By Famous Poet Yaqeen Inamullah Khan. Kar-e-din Us But Ke Hathon Hae Abtar Ho Gaya is written by Yaqeen Inamullah Khan. Read famous Poem Kar-e-din Us But Ke Hathon Hae Abtar Ho Gaya for youth and Student by Yaqeen Inamullah Khan. Free Download Kar-e-din Us But Ke Hathon Hae Abtar Ho Gaya in PDF.