Karam Ke Is Daur-e-imtihan Se Wo Daur-e-mashq-e-sitam Hi Achchha

karam ke is daur-e-imtihan se wo daur-e-mashq-e-sitam hi achchha

na zindagi ki KHushi hi achchhi na be-sabaati ka gham hi achchha

talash ki sai-e-raigan par nazar to aate hain gharq-e-hairat

suKHan-taraazi-e-rahnuma se sukut-e-naqsh-e-qadam hi achchha

ziya-e-nur-e-yaqin hai rahbar hayat ki tera wadiyon mein

bujha ke dekhen bujhane wale charagh-e-taq-e-haram hi achchha

talab ki azmat talab ki zahmat talab ka hasil talab ki lazzat

na KHauf-e-sud-o-ziyan hi achchha na KHatra-e-besh-o-kam hi achchha

maal kya hoga baghbano sukun-faramosh irtiqa ka

nazar bhi aane lagi chaman mein bahaar-e-bagh-e-iram hi achchha

mujhe usi par hai naz hamdam shikasta saghar ye hai to apna

kise sunata hai zikr-e-mazi bala se tha jam-e-jam hi achchha

hawas 'yaqub' nukta-chin kyun nazar hi to hai ye apni apni

nigah-e-zauq-e-buland mein hai sar-e-itaat ka KHam hi achchha

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karam Ke Is Daur-e-imtihan Se Wo Daur-e-mashq-e-sitam Hi Achchha In English By Famous Poet Yaqoob Usmani. Karam Ke Is Daur-e-imtihan Se Wo Daur-e-mashq-e-sitam Hi Achchha is written by Yaqoob Usmani. Read famous Poem Karam Ke Is Daur-e-imtihan Se Wo Daur-e-mashq-e-sitam Hi Achchha for youth and Student by Yaqoob Usmani. Free Download Karam Ke Is Daur-e-imtihan Se Wo Daur-e-mashq-e-sitam Hi Achchha in PDF.