DhunDhta Haq Ko Dar-ba-dar Hai Tu

DhunDhta haq ko dar-ba-dar hai tu

wae apne se be-KHabar hai tu

shan-e-haq aashkar hai tan se

mujid-e-kull-e-KHair-o-shar hai tu

ek mein kya wajud-e-jumla-zuhur

kul mein KHud aap ba-asar hai tu

qudrat-e-kaamila ko ghaur to kar

bahr-e-yaktai ka guhar hai tu

miT apni KHudi KHuda ko pa

nafa hasil ho kya agar hai tu

muqtadir aap har sabab ka hai

is liye ho gaya bashar hai tu

KHair-o-shar ke hijab mein kab tak

zulmat-e-kufr ka sahar hai tu

teri hi shan-e-kul huwaida hai

banda kahta hai kyun kidhar hai tu

aap har shai mein jalwa-farma hain

be-KHabar kya hai ba-KHabar hai tu

mujh pe ilzam aa nahin sakta

har tarah se idhar udhar hai tu

koi kuchh qalb kya kare tujh ko

be-ghul-o-ghash wo saf zar hai tu

kah raha hai hamesha inni ana

jumla aama ka rahbar hai tu

jo hai manzur ho raha wahi

kis natije ka muntazar hai tu

bil-yaqin haq ki shan hai teri

muKHtasar ye hai muKHtasar hai tu

nam tera KHuda-numa hai hijab

dida-e-did ka basar hai tu

koi pata nahin tujhe 'markaz'

du-ba-du aap jalwa-gar hai tu

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDhta Haq Ko Dar-ba-dar Hai Tu In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. DhunDhta Haq Ko Dar-ba-dar Hai Tu is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem DhunDhta Haq Ko Dar-ba-dar Hai Tu for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download DhunDhta Haq Ko Dar-ba-dar Hai Tu in PDF.