Ek KHushi Ke Liye Hain Kitne Gham

ek KHushi ke liye hain kitne gham

mubtala-e-sad-arzu hain hum

dil bhi lauh-o-qalam ka ham-sar hai

dastanen hain kitni dil pe raqam

azmat-e-raftagan hai nazron mein

apne mazi ko DhunDte hain hum

para para hai KHud junun lekin

fikr-e-insan isi se hai mohkam

bhigi bhigi hai har kiran un ki

hai sitaron ki aankh bhi pur-nam

yun na hoti sahar ki ruswai

kash khulta na raushni ka bharam

hum hain aur ehtiram-e-husn-e-wafa

wo hain aur ehtimam-e-mashq-e-sitam

kamtar us ko na kahiye 'yazdani'

aadmi KHud hai jaan-e-do-alam

(1001) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHushi Ke Liye Hain Kitne Gham In English By Famous Poet Yazdani Jalandhari. Ek KHushi Ke Liye Hain Kitne Gham is written by Yazdani Jalandhari. Read famous Poem Ek KHushi Ke Liye Hain Kitne Gham for youth and Student by Yazdani Jalandhari. Free Download Ek KHushi Ke Liye Hain Kitne Gham in PDF.