Jada-e-zist Pe Barpa Hai Tamasha Kaisa

jada-e-zist pe barpa hai tamasha kaisa

dost bichhDa hai har ek gam pe kaisa kaisa

dil ka aatish-kada viran paDa tha kab se

aankh se bahne laga aag ka dariya kaisa

us pe to fasl-e-KHizan mar chuki hai shab-KHun

mausam-e-gul ke guzar jaane ka khaTka kaisa

chand se chehre nazar aane lage hain kitne

khul gaya meri nigahon pe daricha kaisa

jis mein ek ashk na ho aankh kahan hai wo aankh

bund pani ki na ho jis mein wo dariya kaisa

be-tahasha jo baDhi jati hai su-e-girdab

naw ne dekh liya us mein kinara kaisa

dekh mahfil mein har ek aankh hai nam 'yazdani'

tu ne ye chheD diya aaj fasana kaisa

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jada-e-zist Pe Barpa Hai Tamasha Kaisa In English By Famous Poet Yazdani Jalandhari. Jada-e-zist Pe Barpa Hai Tamasha Kaisa is written by Yazdani Jalandhari. Read famous Poem Jada-e-zist Pe Barpa Hai Tamasha Kaisa for youth and Student by Yazdani Jalandhari. Free Download Jada-e-zist Pe Barpa Hai Tamasha Kaisa in PDF.