Ru-ba-ru Hain Wo Dekhta Kya Hai

ru-ba-ru hain wo dekhta kya hai

haal-e-dil kah de sochta kya hai

hai wafa dil mein ya jafa kya hai

saf kahiye ki majra kya hai

un ko bhule hue zamana hua

phir ye pahlu mein dard sa kya hai

hain bhikari sabhi tere dar ke

shah kya chiz hai gada kya hai

meri ruswai-e-jahan ke siwa

teri shohrat mein aur kya kya hai

aabru dard-e-dil ki baDh jae

jab wo puchhen tumhein hua kya hai

un ki aankhon mein jhank kar dekhun

meri taqdir mein likha kya hai

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ru-ba-ru Hain Wo Dekhta Kya Hai In English By Famous Poet Yunus Ghazi. Ru-ba-ru Hain Wo Dekhta Kya Hai is written by Yunus Ghazi. Read famous Poem Ru-ba-ru Hain Wo Dekhta Kya Hai for youth and Student by Yunus Ghazi. Free Download Ru-ba-ru Hain Wo Dekhta Kya Hai in PDF.