Tumhaari Justuju Ki Hai Wahan Tak

tumhaari justuju ki hai wahan tak

nahin pahunche jahan wahm-o-guman tak

jo rishte the hamare darmiyan tak

wo le aae hamein ab imtihan tak

mohabbat mein maqam aaya hai kaisa

ayan hone ko hai raaz-e-nihan tak

nahin milta tera sani kahin bhi

nazar pahunchi hai apni kahkashan tak

palaT kar jab kabhi dekha to samjha

kahan se aa gae hain hum kahan tak

sambhal kar baat kije shaiKH-ji se

rasai un ki hai pir-e-mughan tak

TaTola hai unhon ne dil ko aksar

magar pahunche nahin dard-e-nihan tak

nazar aata hai bas jalwa usi ka

pahunchti hai nazar apni jahan tak

ye fasl-e-gul ye bulbul ki asiri

hain fariyaadi qafas ki titliyan tak

yaqinan qabil-e-azmat hai 'ghazi'

na uf ki sun ke us ne galiyan tak

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Justuju Ki Hai Wahan Tak In English By Famous Poet Yunus Ghazi. Tumhaari Justuju Ki Hai Wahan Tak is written by Yunus Ghazi. Read famous Poem Tumhaari Justuju Ki Hai Wahan Tak for youth and Student by Yunus Ghazi. Free Download Tumhaari Justuju Ki Hai Wahan Tak in PDF.