Ye Ahd Kya Hai Ki Sab Par Giran Guzarta Hai

ye ahd kya hai ki sab par giran guzarta hai

ye kya tilism hai kya imtihan guzarta hai

wo qaht-e-lutf hai har-dam tere faqiron par

hazar waswasa aatish-ba-jaan guzarta hai

jo KHak ho gae tere firaq mein un ka

KHayal bhi kabhi ai jaan-e-jaan guzarta hai

jab us ki bazm se chal hi paDe to sochna kya

ki arsa-e-gham-e-hijran kahan guzarta hai

kabhi wo chehra-e-manus bhi dikhai de

gali se roz naya karwan guzarta hai

'zafar' basant bhi hai aur bahaar ki rut bhi

falak pe taKHta-e-gul ka guman guzarta hai

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ahd Kya Hai Ki Sab Par Giran Guzarta Hai In English By Famous Poet Zafar Ajmi. Ye Ahd Kya Hai Ki Sab Par Giran Guzarta Hai is written by Zafar Ajmi. Read famous Poem Ye Ahd Kya Hai Ki Sab Par Giran Guzarta Hai for youth and Student by Zafar Ajmi. Free Download Ye Ahd Kya Hai Ki Sab Par Giran Guzarta Hai in PDF.