Ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan Se Khinchte Hain

ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan se khinchte hain

ye tir roz dil-e-na-tawan se khinchte hain

Kashid-e-tishna-labi qatra qatra pite hain

ye aab-e-talKH gham-e-raftagan se khinchte hain

main un se luqma-e-tayyab ki dad kya chahun

jo apna rizq dahan-e-sagan se khinchte hain

subu se lazzat-e-yak-guna lete hain lekin

KHumar-e-KHas lab-e-dostan se khinchte hain

dikhai paDta hai aada mein ek chehra-e-dost

so hath sahibo saif o sinan se khinchte hain

KHayal-e-taza se karte hain KHwab-e-nau taKHliq

'zafar' zaminen nai aasman se khinchte hain

(1108) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan Se Khinchte Hain In English By Famous Poet Zafar Ajmi. Ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan Se Khinchte Hain is written by Zafar Ajmi. Read famous Poem Ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan Se Khinchte Hain for youth and Student by Zafar Ajmi. Free Download Ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan Se Khinchte Hain in PDF.