Phire Hain Dhun Mein Teri Hum Idhar Udhar Tanha

phire hain dhun mein teri hum idhar udhar tanha

tujhe talash kiya hai nagar nagar tanha

hamare sath sabhi hain magar koi bhi nahin

hum anjuman mein hain baiThe hue magar tanha

gawah hain rah-e-shauq-o-talab ke sannaTe

kiya hai hum ne ye sabr-azma safar tanha

chale gae hain na-jaane kahan sharik-e-safar

mujhe hayat ki rahon mein chhoD kar tanha

bahut dinon se nahin tu rafiq-e-dida-o-dil

bahut dinon se akela hai dil, nazar tanha

bhulane wale kabhi tu ne ye bhi socha hai

tere baghair hai kab se tera 'zafar' tanha

(669) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phire Hain Dhun Mein Teri Hum Idhar Udhar Tanha In English By Famous Poet Zafar Akbarabadi. Phire Hain Dhun Mein Teri Hum Idhar Udhar Tanha is written by Zafar Akbarabadi. Read famous Poem Phire Hain Dhun Mein Teri Hum Idhar Udhar Tanha for youth and Student by Zafar Akbarabadi. Free Download Phire Hain Dhun Mein Teri Hum Idhar Udhar Tanha in PDF.