Jo Aae Wo Hisab-e-ab-o-dana Karne Wale The

jo aae wo hisab-e-ab-o-dana karne wale the

gae wo log jo kar-e-zamana karne wale the

uDane ke liye kuchh kam nahin hai KHak ghar mein bhi

wo mausam hi nahin hain jo diwana karne wale the

meri gum-gashtagi mere liye chhat ban gai warna

ye duniya wale mujh ko be-Thikana karne wale the

na dete sare manzar aks hi thoDe se de dete

hum aawara kahan tazin-e-KHana karne wale the

samundar le gaya hum se wo sari sipiyan wapas

jinhen hum jamma kar ke ek KHazana karne wale the

'zafar' be-KHanaman apne ko KHud hi kar liya tum ne

ye kar-e-KHair to ahl-e-zamana karne wale the

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Aae Wo Hisab-e-ab-o-dana Karne Wale The In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Jo Aae Wo Hisab-e-ab-o-dana Karne Wale The is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Jo Aae Wo Hisab-e-ab-o-dana Karne Wale The for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Jo Aae Wo Hisab-e-ab-o-dana Karne Wale The in PDF.