Bikhar Bikhar Gae Alfaz Se Ada Na Hue

bikhar bikhar gae alfaz se ada na hue

ye zamzame jo kisi dard ki dawa na hue

safar mein gosh bar aawaz tha har ek zarra

khula tha samne sahra hamein sada na hue

nai hawa mein mahak hai purane patton ki

jo KHak ho gae par shaKH se juda na hue

hawa ke sath kai ashk se uDe to sahi

kisi to retili miTTi ka aab-o-dana hue

ghazal mein the bahut aazada-ru 'zafar' lekin

talazumat ki zanjir se riha na hue

(1085) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bikhar Bikhar Gae Alfaz Se Ada Na Hue In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Bikhar Bikhar Gae Alfaz Se Ada Na Hue is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Bikhar Bikhar Gae Alfaz Se Ada Na Hue for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Bikhar Bikhar Gae Alfaz Se Ada Na Hue in PDF.