Chamke Ga Abhi Mere KHayalat Se Aage

chamke ga abhi mere KHayalat se aage

wo naqsh ki tha dagh-e-mulaqat se aage

lagta hai ki mushkil hai abhi din ka nikalna

hai raat koi aur bhi is raat se aage

is wahm se wapas nahin palTa hun ki hoga

kuchh aur bhi is KHwab-e-tilismat se aage

aaram se pichhe wo haTa deta hai mujh ko

baDhta hun agar us ki hidayat se aage

dauran-e-safar karta hun aaram bhi lekin

hota hun Thaharne ke maqamat se aage

uqda isi KHatir koi hota hi nahin hal

hain sare sawalat jawabaat se aage

aagah kiya hai to hue aur bhi ghafil

waqif jo nahin the mere haalat se aage

ho sakta hai kya koi bhala un ke barabar

rahte hain jo KHud apne bayanat se aage

itna bhi bahut hai jo 'zafar' qahat-e-nawa mein

nikli hai koi baat meri baat se aage

(1092) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chamke Ga Abhi Mere KHayalat Se Aage In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Chamke Ga Abhi Mere KHayalat Se Aage is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Chamke Ga Abhi Mere KHayalat Se Aage for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Chamke Ga Abhi Mere KHayalat Se Aage in PDF.