Chhupa Hua Jo Numudar Se Nikal Aaya

chhupa hua jo numudar se nikal aaya

ye farq bhi tere inkar se nikal aaya

palaT paDa jo main sar phoD kar mohabbat mein

to rasta isi diwar se nikal aaya

mujhe KHaridna kuchh bhi na tha isi KHatir

main KHud ko bech ke bazar se nikal aaya

abhi to apne khanDar hi ki sair thi baqi

ye tu kahan mere aasar se nikal aaya

bahut se aur tilismat muntazir hain mere

agar kabhi tere asrar se nikal aaya

mujhe bhi de rahe the KHilat-e-wafa lekin

nazar bacha ke main darbar se nikal aaya

sire se jo kahin maujud hi na tha aaKHir

wo naqs bhi mere kirdar se nikal aaya

nai faza nae aafaq hain usi ke liye

jo aaj uDti hui Dar se nikal aaya

usi ko ek ghanimat qarar dunga 'zafar'

jo ek sher bhi tumar se nikal aaya

(1156) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhupa Hua Jo Numudar Se Nikal Aaya In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Chhupa Hua Jo Numudar Se Nikal Aaya is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Chhupa Hua Jo Numudar Se Nikal Aaya for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Chhupa Hua Jo Numudar Se Nikal Aaya in PDF.