Dariya Dur Nahin Aur Pyasa Rah Sakta Hun

dariya dur nahin aur pyasa rah sakta hun

us se mile baghair bhi zinda rah sakta hun

us ki be-taufiq mohabbat ke jangal mein

aadha gum ho kar bhi aadha rah sakta hun

kaisa rahta hun mat puchho shahr mein us ke

waisa hi rahta hun jaisa rah sakta hun

tanha rahne mein bhi koi uzr nahin hai

lekin us ke sath hi tanha rah sakta hun

wo bhi daman chhoDne ko tayyar nahin hai

main bhi abhi is shaKH se uljha rah sakta hun

kuchh mujh ko KHud bhi andaza hona chahiye

kitna zae ho kar kitna rah sakta hun

jis haalat se nikal aaya hun koshish karke

is mein wo chahe to dobara rah sakta hun

ek anokhe KHwab ke andar sote jagte

rahta hun main aur hamesha rah sakta hun

jitne fasle par rakhta hai 'zafar' wo mujh ko

rah bhi sakta hun lekin kya rah sakta hun

(1276) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544