Dariya-e-tund-mauj Ko Sahra Bataiye

dariya-e-tund-mauj ko sahra bataiye

sidha bhi ho sawal to ulTa bataiye

jaisa bhi hai wo samne sab ke hai kis liye

aisa bataiye use waisa bataiye

kyun chhoD kar gaya tha wo kyun phir se aa gaya

aage bata bhi sakte the ab kya bataiye

mahfil ki raunaqen hon ki bazar ka hujum

ye dil jahan bhi ho ise tanha bataiye

ya qatl kijiye use apne hi nam par

ya ajnabi ko shahr ka rasta bataiye

jis ki kabhi jhalak bhi na dekhi ho umr bhar

tu hi bata 'zafar' use kaisa bataiye

(1020) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya-e-tund-mauj Ko Sahra Bataiye In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Dariya-e-tund-mauj Ko Sahra Bataiye is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Dariya-e-tund-mauj Ko Sahra Bataiye for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Dariya-e-tund-mauj Ko Sahra Bataiye in PDF.